Wednesday, May 31, 2006

aadatan tum ne kar diye vaade

aadatan tum ne kar diye vaade
aadatan ham ne aitabaar kiyaa

terii raaho.n me.n baarahaa ruk kar
ham ne apanaa hii intazaar kiiyaa

ab naa maa.Nge.nge zindagii yaa rab
ye gunaah ham ne ek baar kiyaa

2 comments:

  1. Sabar har baar akhtiyaar kia
    hum se hota nahi hazaar kia

    aadatan tum ne kar diye wade
    aadatan hum ne aaitbaar kia

    ReplyDelete